Woh Aye Ya na Aye

 

AaNkH kHuLi To PhiR

----------------------------
Aankh khuli to phir khwaab chale gaye
jii behlane ke saare bahaane chale gaye

yaad rehta nahi kuch bhi yaad kiye bina
yaadoN me khokar jeene ke sahare chale gaye

gham bhi gaya, khushiyaN bhi gaye
ek ek karke sab yaar chale gaye

har tasawwur me dekha tere chehre ko
har shaks ko khuda banakar chale gaye

chupaya na jaye logoN se meri dil ki raghbat
teri furqat ke sholay ragoN me chupakar chale gaye

sirf dil hi tha tera sabse bada khazaana 'jags'
phir kyun usey ek ajnabee pe lutakar chale gaye


--
"Not Everything That Can Be Counted Counts... And Not Everything That Counts Can Be Counted!!!"
----
G.A.

Comments

Popular posts from this blog

Email Fraud, supposedly from Maruti Suzuki!!

Microfinance In a Spot Of Trouble

The idea of sharing ideas!!