Ajeeb Larka Hoon

 

Ajeeb larka hoon khud ko jalaana chahtaa hoon
May khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahtaa hoon
 
Mere naseeb ki khushiyaan bhi kab mili mujh ko
Bas ab to umer bher aansoo bhana chahtaa hoon
 
Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhey
Koi bhee dard ho dil may chupana chahtaa hoon
 
Baha baha ke ye aasnoo bikhar chuka hoon bahut
Simat ke zaat may ab muskurana chahtaa hoon
 
Jisay eik umer dil mai chupa ke rakha hai
Wo raaz aaj may sab ko batana chahtaaa hoon
 
Wahee hay yaad jo acha kaha hay logon ne
Baqi saaray sitam bhool jana chahtaa hoon
 
Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager
Mai eik larka hoon sab ko batana chahtaa hoon
 
Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan
To may bhee un khushiyoon se rooth jana chahtaa hoon
 
Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se
Kisi ko mai bhee apnay ghum sunana chahtaa hoon
 
Tu apnay dil ke her eik dar ko khool day
Mai dard ban ker teray dil mai aana chahtaa hoon

 
--
"I'd rather confess I'm wrong and be right, than claim I'm right and be worng."
----
G.A.

Comments

Popular posts from this blog

Email Fraud, supposedly from Maruti Suzuki!!

Microfinance In a Spot Of Trouble

The idea of sharing ideas!!