Shaadi ki Dastaan


             Shaadi ki Dastaan

Abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
khushi ke maare mera bura haal tha,
khushiyaan kuch yoon umad rahin thi,
ki sambhale nahi sambhal rahi thi,

subah subah madam ka chai le kar aana
thoda sharmate hue hume need se jagana,
wo pyaar bhara hath humare ballon main
phirana, muskurate hue kehna ki darling chai to pi lo,
jaldi se ready ho jao,
aap ko office bhi hai jana.

gharwali bhagwan ka roop le kar aayi thi,
dil or dimag par poori tarah chai thi,
saans bhi lete thy to naam usi ka hota tha,
ik pal bhi door jeena dushwar hota tha.



*5 saal baad........*



subah subah madam ka chai le kar aana,
table par rakh kar jor se chilana,
aaj office jao to munna ko school chodte hue jana..............

ek baar phir wohi awaaj ayi,
kya baat hai abhi tak chodi nahi charpai,
agar munna late ho gaya to dekh lena,
munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal lena.

na jane gharwali kaisa roop le kar aayi thi,
dil aur dimaag par kali ghata chai thi,
sans bhi lete hai to uni ka khayal hota hai,
har samay jehan main ek hi sawal hota hai,
kya kabhi wo din lot ke ayenge,
hum ek bar phir kuwaaren ban payenge.



--
"Life may not be the party we had hoped for...
But while we are here, we might as well dance."
----
G.A .

Comments

Popular posts from this blog

Email Fraud, supposedly from Maruti Suzuki!!

Microfinance In a Spot Of Trouble

Diwali - should we celebrate it with crackers?