Ek Gulab Tha, Bada Udas Tha

Ek Gulab Tha, Bada Udas Tha

Rang bhi us ka tha kuch uda uda sa,
Shabnam ke ansoo rawan the uske
Dil tha uska kuch bujha bujha sa,
Bahar ka tha mosum phir bhi na khila tha
Dali say tha who apni kuch jhuka jhuka sa

Maine jo dekha usse,
Pass ja ke pocha usse
Kyon ha udaas tum?
Kyon karta hai dil barbad tu?
Kis ko karta hai yaad tu?
Yeh sunker woh rone laga

Shabnam ke ansu se muh dhone laga
aur rote rote bas yeh kehe laga
Mera yaar mujhko chor gaya hai
Mera pyaar mujhse muh mor gaya hai
Ab main kiske liye khil jaun
Ab main kiske liye khushboo mahkaun

Mujhe kaun apne dil se lagayega
Mujhko kaun apni sansoon mai basayega
Mera chaman ujar gaya hai
Mera yaar mujhse bichaar gaya hai
Bas ab toh har lamhe uski yaad hai
Bas beqarari hai, tadap hai faryad hai

Mujhko koi mere yaar say mila de
Mujhko koi mera pyar lota de
Woh ayega toh khil jaunga main
Apni zindagi se mil jaunga main

 



--
"I don't have to be what somebody else wants me to be, and I am not afraid to be what i want to be."
----
G.A.

Comments

Popular posts from this blog

Email Fraud, supposedly from Maruti Suzuki!!

Microfinance In a Spot Of Trouble

Diwali - should we celebrate it with crackers?