Its a Shayri Time

Maine Poocha

Mein Ne Us Ko Salam Likh Bheja,
Haal-e-Dil Tamaam Likh Bheja..

Maine Poocha Tere Honth Kaise Hain,
Us Ne Ik Lafz Jaam Likh Bhejja.

Maine Poocha Tere Baal Kaise Hain,
Us Ne Qudrat Ka Inaam Likh Bheja..


Maine Poocha Kab Ho Gi Mulaqaat,
Us Ne Qayamat Ki Sham Likh Bheja..

Maine Poocha Itna Tadpaati Kyon Ho,
Us Ne Jawani Ka Intiqaam Likh Bheja..

Maine Poocha Tere Khad-o-Khaal Kaisey Hain,
Us Ne Husn Tamaam Likh Bheja..

Maine Poocha Tujhey nafrat Kiss Se Hai,
Kambakhat Us Ne MERA Hi Naam Likh Bheja..



Main bhool jaaun tumhein ab yahi munaasib hai

Main bhool jaaun tumhein ab yahi munaasib hai
magar bhulana bhi chaahoon to kis tarah bhooloon

ki tum to phir bhi haqiqat ho koi khwaab nahin.
Yahan to dil ka ye aalam hai, kya kahoon

bhula saka na ye wo silsila jo tha hee nahin
wo ek khayaal jo awaaz tak gaya hee nahin

wo ek baat jo main keh nahin saka tumse
wo ek rabt jo hum mein kabhi raha hee nahin

mujhe hai yaad wo sab, jo kabhi hua hee nahin.
Agar ye haal hai dil ka to koi samjhaaye,

tumhein bhulana bhi chaahoon to kis tarah bhooloon
ki tum to phir bhi haqiqat ho koi khwaab nahin.



Kabhi Kabhi

Ulfat ka paighaam sabhi laate,
Kabhi aate, kabhi jaate.

Dil ke kaagaz par unka naam,
Kabhi likhte, kabhi mitaate.


Dard e dil ko chherr chaarr kar,
Kabhi tadapte, kabhi lubhaate.

Kismat se khoob hai rishta humara,
Kabhi roothte, kabhi manaate.


Zindagi aur maut mai hai kafan ka faasla,
Kabhi pehente, kabhi uDaate.

 

Sooch Hai Pehli Si

sooch hai pehli si,andaz app k pehlay sa hain
kurbatoon mein bhi diloon k faisaly pehlay sa hain

kasmakash ki adat talb kerti hai hungamay nay
zindagi k sath hain jo hadsay pehlay sa hain

aap ab kertay hain dunia k ghamoon k tazkaraa
rah-e-hasti mein tu ya mera humdum pehlay sa hain

app ko dekha tu phir koi na nazroon mein jacha
app hi mere nazroon k samna pehlay sa haain

ajnabi hum ko banaya gardish-e-halaat naa
werna hum aik dosray ko jantay pehlaay sa hain

zindagi k sang paron ko na tum ilazaam do
khwahi-shoon k aynaay tootay howa pehlay sa hain

bhujh gaya jis roz sa saki charg-e-arzoo
dil hai pehla sa ,na dil k walwalay pehlay sa hain
 



--
"I don't have to be what somebody else wants me to be, and I am not afraid to be what i want to be."
----
G.A.

Comments

Popular posts from this blog

Email Fraud, supposedly from Maruti Suzuki!!

Microfinance In a Spot Of Trouble

Diwali - should we celebrate it with crackers?