Pyaar Ki Daastan
Zindagi yun ghuzar jaygi yun socha na tha
kisi humsafar ke intezaar mein samay roka na tha
aisa nahi ki pyaar kiya nahi maine
bus usse lautaaya nahi kisi ne
sapno ke mukadar mein pura hone ki khush nasibi nahi hoti
har ek kahani mein kabhi raja to kabhi rani nahi hoti
her samay ek sangharsh hai jeene ka
halaaton ke aage jhukkar aage bharne ka
woh pyaar jo pehla tha
woh yaar jo bheer mein akela tha
kyun bhulaya nahi gaya humse
kyun juda na ho paya dil se...
Aaj mudaton baad phir unhain paaya wahan
apna dil akela tanha chor aaye the jahan
phir dil mein ek kasak si jagi thi
phir wahi sapna ek raja jis ki ek rani thi
phir us jagah se yun has kar chal diye
jaise safar mein do ajnabi kuch der ruk kar chal diye...
Ab zindagi mein aalag hi jahan apna hai
ek baar phir pyaara ek sapna hai
zindagi ke safar ka humsafar koi aur hai
jo chaha woh nahi ...humne paya koi aur hai
zindagi yun ghuzar jaygi yun socha na tha
kisi humdum ke intezaar mein samay roka na tha....
--
"I don't have to be what somebody else wants me to be, and I am not afraid to be what i want to be."
----
G.A.
Comments