Shayri Ke Pal

Ab Aur Kiya Chaahiye

choori ki khanak
jhanjar ki jhanak
ankho'n ki chamak
chehray ki dhanak
zulfo'n ki lachak
anchal ki mehak
sanso'n ki dehak
nabzo'n ki dhamak
mathay pe tilak
seenay pe silk
thorri si jhalak
meethi si kasak

Ab Aur Kiya Chaahiye

chehray pe haya
mukhrray pe ziya
palko'n pe diya
honto'n pe dua
sanso'n mein saba
seenay mein wafa
bato'n mein nasha
hatho'n mein shifa
chanchal si hawa
wo shokh ada
her rup naya
her rup juda

Ab Aur Kiya Chaahiye

her phool pe bahaar
her kali pe nikhaar
her gali lalazaar
her shakh samrdaar
koil ki pukaar
her dam hi qaraar
her morr ku'e yaar
her waqt didaar
mujhay tera aitbaar
tujhay mera aitbaar
mujhay tujh se piyaar
tujhay mujh se piyaar

Ab Aur Kiya Chaahiye
 

Dil Ki Batain, Bata Deti Hain , Aankhen


Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen ,
Dharkano Ko Jaga Deti Hain, Aankhen ,

Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehron Ka Kabhi ,
Dil Ko Toh , Deewana Bana Deti Hain Aankhen,

Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Toh Na Kare ,
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen,

Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen,

Aata Hai Jab Dor - E - Jawani , Toh Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen,

Mana Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste ,
Magar Kabhi Kabar ,Neend ,Udaa Deti Hain Aankhen,

aisa Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat Humain,
Dard -O-Gham ,Sare Dil Ke , Chupa Deti Hain Aankhen

 



--
"I don't have to be what somebody else wants me to be, and I am not afraid to be what i want to be."
----
G.A.

Comments

Popular posts from this blog

Email Fraud, supposedly from Maruti Suzuki!!

Microfinance In a Spot Of Trouble

25 Things to Do with Your Family While Stuck at Home