Shayri Ke Pal


Husun Se Kub Woh Duur Huwa Hai


Husun Se Kub Woh Duur Huwa Hai
Dil Se Jo, Majbur Huwa Hai


Zalim Pe Jo Magroor Huwa Hai
Iss Ka Dil Be Noor Huwa Hai


Naam Bohut Shireen Hai Iss Ka
Furhad Ek Mazdur Huwa Hai


Laila Laila Kehte Kehte
Case Bohut Mashur Huwa Hai


Churte Suraj Ki Pooja Toh
Duniya Ka Dastur Huwa Hai


Iss Ne Diya Jo Dag - e Judaye
Rashkh - e -Chirag Taur Huwa Hai


Daire Mein, Umeedon Hi K
Hur Insaan , Mahsoor Huwa Hai


Apne Hi Ghar Ko Jis Ne Luta
Rah Bur - e - Jamhur Huwa Hai


Yaad Jub Aye Shehzad Un Ki
Shad Dil - e - Ranjur Huwa Hai



Haan Tere Pyar Ne Ahsan Kiyein


Haan Tere Pyar Ne Ahsan Kiyein
Purey Sarey Meray Arman Kiyein


Yeh Bhi Ahsan Tera Kiya Kum Hai
Ghum Meray Dil Mein Jo Mehman Kiyein


Daag Dil Ban K Rahenge Mehfooz
Tu Ne Ahsan Jo Meri JAAN Kiyein


Iss Ne Chehre Se Uthayi Jo Niqab
Chak Logo Ne Gireban Kiyein


Hai Ussi Se Dil Shehzad Abad
Ghar Kaye Jis Ne Keh Wiran Kiyein



Hai Maut Ki , Zindagi Sawari


Hai Maut Ki , Zindagi Sawari
Qudrat Ki Ada Hai Yeh Bhi Pyari


Jeena Bhi Hai Jabur Ek Tarah
Murna Bhi Nahi Hai Ikhtayari


Ghum App Hi K Diye Huwe Hai
Kijiyein Na Abh App Ghum Gusari


Abh Tum Bhi Na Kur Sako Durman
Dil Pur Woh Laga Hai Zakhum Kari


Hur Baat Ka App Ki, Yaqeen Hai
Kehte Hai Isse Khush Aitabari


Hur Baat Hai App Ki Gawara
Ek Baat Jo Maan Lo Humari

Sub Nach Rahe Hai Be Mahaja
Purdeh Mein Yeh Kaun Hai Madari

Shehzad Woh Hum Nasheen Hai Lekin
Jati Nahi Dil Ki Be Qaraari

 

Kitni Aziyat Se Us Ne Mujhay Bhulaya Ho Ga

kitni aziyat se us ne mujhay bhulaya ho ga
meri yaad ne usay khob rulaya ho ga

baat be baat ankh jo us ki chalki ho gi
us ne chahray ko bazoon main chupaya ho ga


socha ho ga us ne din main kaii bar mujhay
naam hatheli pe bhi likh likh ker mitaya ho ga

jahan us ne mera ziker suna ho ga kisi se
us ki ankhon main koii anso tu aya ho ga

raat ko bhi der tak neend na aii ho gi
us ne takiyay ko bhi seenay se lagaya ho ga

Ho k nedhal meri yaadon se tu ne janan
meri tasweer se ser apna tikaya ho ga

pocha ho ga jo kisi ne teri halat ka sabab
tu ne baton baton main khob us se chupaya ho ga

jab kabhi chand ko dekha ho ga akaila tu ne
tujhay mera piyar bohat yaad aya ho ga



Sham Se Ankh Main

Sham Se Ankh Main Nami Se Hai
Shayad Phir Aap Ki Kami Se Hai


Daffan Kardoo Hamien K Sanss Milly
Nabz Kuch Deer Se Thami Se Hai


Waqat Rahta Nahi Kahien Tik Kar
Uss Ki Addat Bhi Admi Se Hai


Koi Rishta Nahi Raha Phir Bhi
Ek Tasleem Lazmi Se Hai


Sham Se Ankh Main Nami Se Hai
Aaj Phir Aap Ki Kami Se Hai


Hum Chalay


Hum Chalay Apnay Safar Tum Nahi Chal Pao Gay
Haan Magar Sach Hai K Tum Chand Kadam Aao Gay


Youn Bhi Dena Hai Tumne Apni Waffaoon Ka Saboot
K Baray Piyar Say Kaandhay Pey Lay Kay Jao Gay


Humko Dena Hai Abhi Apnay Gunahoon Ka Hisaab
Aur Tum Khaak Taley Hum Ko Daba Jaoo Gay


Phir Bhula Do Gay Humen Tum B Zamanay Ki Terhan
Tum Bhala Kab Talak Turbat Pay Meri Aao Gay


Mit Hi Jai Ga Nishan Shehr-E-Khamooshan Say Bhi
Bhool Kar Bhi Kabhi Phir Yaad Na Kar Pao Gay





--
"I don't have to be what somebody else wants me to be, and I am not afraid to be what i want to be."
----
G.A.

Comments

Popular posts from this blog

Email Fraud, supposedly from Maruti Suzuki!!

Microfinance In a Spot Of Trouble

25 Things to Do with Your Family While Stuck at Home